|
AsiroN kay mushkil kusha Ghous-e-Azam
AsiroN kay mushkil kusha Ghous-e-Azam
FaqeeroN kay hajat rawa Ghous-e-Azam
Ghira hay balawoN maiN banda tumhara
Madad kay liay aawo ya Ghous-e-Azam
FaqeeroN kay hajat rawa Ghous-e-Azam
AsiroN kay mushkil kusha Ghous-e-Azam
Tairay hath maiN hath maiN naiN dia hay
Tairay hath hay laaj ya Ghous-e-Azam
FaqeeroN kay hajat rawa Ghous-e-Azam
AsiroN kay mushkil kusha Ghous-e-Azam
MureedoN ko khatra naheeN behr-e-gham ka
Keh baiRay pay hay nakhuda Ghous-e-Azam
FaqeeroN kay hajat rawa Ghous-e-Azam
AsiroN kay mushkil kusha Ghous-e-Azam
Nikala hay pehlay to dobay howaooN ko
Aour ab doobtoN ko bacha Ghous-e-Azam
Qasam hay keh mushkil ko mushkil naaN paia
Kaha hum naiN jiss waqt ya Ghous-e-Azam
FaqeeroN kay hajat rawa Ghous-e-Azam
AsiroN kay mushkil kusha Ghous-e-Azam
Kahay kis say ja kar Hassan apnay dil ki
Sunay koon tairay siwa Ghous-e-Azam
FaqeeroN kay hajat rawa Ghous-e-Azam
AsiroN kay mushkil kusha Ghous-e-Azam
|