|
ZamiN maili naheeN hoti zaman maila naheen hota

Muhammad kay ghulamoN ka kafan maila naheeN hota
Mohabbat kamli walay say woh jazba hay suno logo
Yeh jiss mann maiN sama jaaye woh mann maila naheen hota
Muhammad kay ghulamoN ka kafan maila naheeN hota
Nabi kay paak langar par jo paltey haiN kabhi unki
Zabaan maili naheen hoti sukhan maila naheen hota
Muhammad kay ghulamoN ka kafan maila naheeN hota
Mairy aqaa ki ulfat to badan ko jagmagati hay
Kabhi Ahl-e Muhammad ka badan maila naheeN hota
Muhammad kay ghulamoN ka kafan maila naheeN hota
GulooN ko choom laitay haiN sehar num shabnami qatray
Nabi ki naat sun lay tu chaman maila naheeN hota
Muhammad kay ghulamoN ka kafan maila naheeN hota
Jo naam-e-Mustafa choomaiN naheeN dukhti kabhi ankhaiN
Pehen lay piayr jo unka badan maila nahneeN hota
Muhammad kay ghulamoN ka kafan maila naheeN hota
MaiN nazaaN tu naheeN fann par magar Nasir yeh dawwa hay
Sana-e-Mustafa karnay say fann maila naheeN hota