Rab naiN diya hay un ko maiN un say mangta hooN
Aaqa key dar ka main bhi adna sa ik gada hooN
Yeh khuaab maiN naiN daikha Taibah ka qafila hay
Aour naat paRhaty paRhaty maiN uss maiN jar aha hooN
Rab naiN diya hay un ko maiN un say mangta hooN
Aaqa key dar ka main bhi adna sa ik gada hooN
Farzaangi ki hadd tak dewana ho giaa hooN
MaiN unki naat keh kar masti maiN jhoomta hooN
Rab naiN diya hay un ko maiN un say mangta hooN
Aaqa key dar ka main bhi adna sa ik gada hooN
Daikho maira tassawur rozay kay samnay hooN
Dil naat paRh raha hay maiN chup khaRaa hua hooN
Rab naiN diya hay un ko maiN un say mangta hooN
Aaqa key dar ka main bhi adna sa ik gada hooN
Nazr-e-karam hoie jab aaqa naiN jub bulaya
Uss dam yehi kahooN ga aaqa maiN aa raha hooN
Rab naiN diya hay un ko maiN un say mangta hooN
Aaqa key dar ka main bhi adna sa ik gada hooN
Apnay ghulam ka wo mujh ko ghulam rakh laiN
MaiN chup khaRa hua hooN aur mehv-e iltija hooN
Rab naiN diya hay un ko maiN un say mangta hooN
Aaqa key dar ka main bhi adna sa ik gada hooN
Jannat khuda naN dey ga jab tak naN wo kahaiN gey
Rab ki raza hay aaqa maiN itna jaanta hooN
Rab naiN diya hay un ko maiN un say mangta hooN
Aaqa key dar ka main bhi adna sa ik gada hooN
Un say hay mairi nisbat ab aur chaheiay kiya
Merey wohi haiN sub kuch maiN un ka ho chukka hooN
Rab naiN diya hay un ko maiN un say mangta hooN
Aaqa key dar ka main bhi adna sa ik gada hooN
Un sey milay haiN saaray alfaaz mairay kab haiN
Main un say naat lay kar duniya maiN baant’ta hooN
Rab naiN diya hay un ko maiN un say mangta hooN
Aaqa key dar ka main bhi adna sa ik gada hooN
Mar jaoN Abidi jab maiN naat paRhte paRhte
Tum sab yaqeenn karnaN imaan par mara hooN