farhan ali qadri
Home | Video | Audio | Albums | Latest Album | Gallery | Forum | Guest Book | Search | Tell A Friend | Contact
Title Bookmark and Share farhan ali qadri
Last 10 Topics:  #1 congratulations to MARIUM sister for completing 1000 Posts(Umer)    #2 Why heart beat says love to farhan love to farhan!(Faheem ahmed aatar)    #3 Yad e madina: faheem ahmed aatar.(Faheem ahmed aatar)    #4 who wass the best naat khawan of the world your ans. fari by(syed umair gillani)    #5 My poetry:farhan ali qadri.(Faheem ahmed aatar)    #6 only for you(MARIAM ZAFAR)    #7 Aap k liay farhan ali qadri kis ka naam hy?(Umer)    #8 vote farhan ali qadri, best naat khawan of the world(syed umair gillani)    #9 My poetry only for farhan ali qadri:farhan main tujh bin uda(Faheem ahmed aatar)    #10 Happy heart only reason farhan ali qadri.(Faheem ahmed aatar)  


Hits: 4,056,106
Farhan Ali Qadri - NaaN ho aram jis bimaar ko
        Roman Lyric
 Audio   Roman   Hindi   Urdu

NaaN ho aram jis bimaar ko

NaaN ho aram jis bimaar ko saray zamanay say
Utha lay jaey thoRi khak unkay aastanay say
Tumharey dar kay tukRoN say paRa palta hay ik aalam
Guzaara sab ka hota hay isee muhtaj khaanay say
Koie Firdous ho ya khuld ho hum ko gharaz matlab
Lagaya ab to bistar aap hee kay aastaney say
NaaN kiuN un kee taraf Allah so so piyaar say daikhay
Jo apni aankhaiN maltay haiN tumhaaray aastanay say
Tumhaarey tou woh ihsaaN aur naaN farmaaniyaN apni
HamaiN tou sharam si aati hay tum ko munh dikhaanay say
Bahaaray khuld sadqey ho rahi hay roeay-e aashiq par
Khilli jaati haiN kaliyaN dil ki tairy muskaranay say
ZamiN thoRi si day day behr-e madfan un kay koochay maiN
Laga dey mairay piyaaray mairi mittee bhi thikaanay say
Palat’ta hay jo zaahir uss say kehta hay naseeb us ka
Arey ghaafil qaza behtar yahaaN say phir kay jaanay say
Bula lo apney dar par ab to hum khaanaN badoshoN ko
PhiraiN kub tak zaleel-o khwaar dar dar bay thikaaney say
NaaN pahunchay un kay qadmooN tak naaN kuch husn-e amal hee hay
Hassan kia poochtay ho hum gaye guzray zamaanay saey
NaaN ho aram jis bimaar ko saray zamanay say
Utha lay jaey thoRi khak unkay aastanay say




Copyright © 2007 - 2012 - All Rights Reserved