|
Ya Rab mairi soye hoie taqdeer jaga dey
Ya Rab mairi soye hoie taqdeer jaga dey
AnkhaiN mujhay di haiN to Madina bhi dikha dey
Sun’nay ki jo quwaat mujhay bakhshi hay Khudawand
Phir Masjid-e-Nabvi ki azanaiN bhi suna dey
AnkhaiN mujhay di haiN to Madina bhi dikha dey
Ya Rab mairi soye hoie taqdeer jaga dey
HooroN ki naaN ghilamaN ki naaN Janat ki talab hay
Madfan maira Sarkar ki basti maiN bana dey
AnkhaiN mujhay di haiN to Madina bhi dikha dey
Ya Rab mairi soye hoie taqdeer jaga dey
Mudat sey maiN in hathoN say karta hooN duaieN
In hathoN maiN ab jail sunehri wooh thama dey
AnkhaiN mujhay di haiN to Madina bhi dikha dey
Ya Rab mairi soye hoie taqdeer jaga dey
Moonh Hashar maiN mujh ko naaN chupana paRay ya Rab
Mujh ko tairay Mehboob ki chadar maiN chupa dey
AnkhaiN mujhay di haiN to Madina bhi dikha dey
Ya Rab mairi soye hoie taqdeer jaga dey
Ishrat ko bhi abb khushboy-e-Hassan ata kar
Joo lafz kahay haiN unhaiN to naat bana dey
AnkhaiN mujhay di haiN to Madina bhi dikha dey
Ya Rab mairi soye hoie taqdeer jaga dey
|