|
Woh din aaye ga ik bar
Woh din aaye ga ik bar meiN Madinay jawoN ga
Karnay roozay ka deedar meiN Madinay jawoN ga
Shah-e-Madina rehmat-e-alam nabioN kay sardar
DaikhieN kab dikhlaieN apna norani darbar
MeiN to hooN kab say tiaar meiN madinay jawoN ga
Woh din aaye ga ik bar meiN Madinay jawoN ga
Mujh ko yaqeen hay karam karaiN gey Amina bibi kay lal
Unn ko to maloom hay mairay dil ka hall
Kehtay haiN dil kay taar meiN Madinay jawoN ga
Woh din aaye ga ik bar meiN Madinay jawoN ga
Kia gham hay keh jakRay howay hay doori ki zanjeer
Mil jaye gi mujh ko mairay khuaboN ki tabeer
Jiss din chahaieN gey sarkar meiN Madinay jawoN ga
Woh din aaye ga ik bar meiN Madinay jawoN ga
|