|
Aye sabz gunbad walay manzoor dua karna
Aye sabz gunbad walay manzoor dua karna
Jab waqt-e-naza aaye deedar ata karna
Aye Noor-e-Khuda aa kar aankhoN meiN sama jana
Ya dar pay bula laina ya khuab meiN aa jana
Aye parda nasheeN dil kay parday meiN raha karna
Jab waqt-e-naza aaye deedar ata karna
MeiN qabr andhairi meiN ghabrawoN ga jab tanha
Imdad meiri karnay aa jana mairay aaqa
Roshan meri turbat ko aye noor-e-Khuda karna
Jab waqt-e-naza aaye deedar ata karna
Mujrim hooN jahaN bhar ka mehshar meiN bharam rakhna
Ruswaye zamana hooN daman maiN chupa laina
Maqbool dua meri aye noor-e-Khuda karna
Jab waqt-e-naza aaye deedar ata karna
Chehray say zia payee inn chand sitaroN naiN
Iss dar say shifa payee dukh dard kay marooN neiN
Aata hay unhaiN Sabir har dukh ki dawa karna
Jab waqt-e-naza aaye deedar ata karna
Jab waqt-e-naza aaye deedar ata karna
Aye sabz gunbad walay manzoor dua karna
Jab waqt-e-naza aaye deedar ata karna
|