farhan ali qadri
Home | Video | Audio | Albums | Latest Album | Gallery | Forum | Guest Book | Search | Tell A Friend | Contact
Title Bookmark and Share farhan ali qadri
Last 10 Topics:  #1 congratulations to MARIUM sister for completing 1000 Posts(Umer)    #2 Why heart beat says love to farhan love to farhan!(Faheem ahmed aatar)    #3 Yad e madina: faheem ahmed aatar.(Faheem ahmed aatar)    #4 who wass the best naat khawan of the world your ans. fari by(syed umair gillani)    #5 My poetry:farhan ali qadri.(Faheem ahmed aatar)    #6 only for you(MARIAM ZAFAR)    #7 Aap k liay farhan ali qadri kis ka naam hy?(Umer)    #8 vote farhan ali qadri, best naat khawan of the world(syed umair gillani)    #9 My poetry only for farhan ali qadri:farhan main tujh bin uda(Faheem ahmed aatar)    #10 Happy heart only reason farhan ali qadri.(Faheem ahmed aatar)  


Hits: 4,056,030
Farhan Ali Qadri - Pata pata boota boota zikr-e-Khuda maiN khoia
        Roman Lyric
 Audio   Roman   Hindi   Urdu

Pata pata boota boota zikr-e-Khuda maiN khoia

Pata pata boota boota zikr-e-Khuda maiN khoia
Dali dali ghuncha ghunca zikr-e-Khuda maiN khoia
Parbat parbat dharti dharti ambar ambar wasif
Sehra sehra daria daria zikr-e-Khuda maiN khoia
Qaria qaria wadi wadi gulshan gulshan zakir
Qatra qatra zarah zarah zikr-e-khuda maiN khoia
Qumri qumri tooti tooti bulbul bulbul hamid
chiRia maina har parwana zikr-e-khuda maiN khoia
Rim jhim girti barish geet usi kay gaye
Chalta daria behta jharna zikr-e-Khuda maiN khoia
Sundar sundar dil kay andar naam ujagar us kay
Meri jaaN ka gosha gosha zikr-e-Khuda maiN khoia
Pata pata boota boota zikr-e-Khuda maiN khoia
Dali dali ghuncha ghunca zikr-e-Khuda maiN khoia


Copyright © 2007 - 2012 - All Rights Reserved