farhan ali qadri
Home | Video | Audio | Albums | Latest Album | Gallery | Forum | Guest Book | Search | Tell A Friend | Contact
Title Bookmark and Share farhan ali qadri
Last 10 Topics:  #1 congratulations to MARIUM sister for completing 1000 Posts(Umer)    #2 Why heart beat says love to farhan love to farhan!(Faheem ahmed aatar)    #3 Yad e madina: faheem ahmed aatar.(Faheem ahmed aatar)    #4 who wass the best naat khawan of the world your ans. fari by(syed umair gillani)    #5 My poetry:farhan ali qadri.(Faheem ahmed aatar)    #6 only for you(MARIAM ZAFAR)    #7 Aap k liay farhan ali qadri kis ka naam hy?(Umer)    #8 vote farhan ali qadri, best naat khawan of the world(syed umair gillani)    #9 My poetry only for farhan ali qadri:farhan main tujh bin uda(Faheem ahmed aatar)    #10 Happy heart only reason farhan ali qadri.(Faheem ahmed aatar)  


Hits: 4,056,013
Farhan Ali Qadri - Marhaba, ya, Mustafa, Marhaba, ya, Mustafa,
        Roman Lyric
 Audio   Roman   Hindi   Urdu

Marhaba, ya, Mustafa, Marhaba, ya, Mustafa,

Marhaba ya Mustafa, Marhaba ya Mustafa, Marhaba ya Mustafa, Marhaba ya Mustafa,
Sarkar ki aamad marhaba
Sardar ki aamad marhaba
Dildar ki aamad marhaba
ManThar ki aamad marhaba
Rahbar ki aamad marhaba

Marhaba ya Mustafa, Marhaba ya Mustafa, Marhaba ya Mustafa, Marhaba ya Mustafa,
Mubarak ho Habib-e-Rab-e-Akbar aanay wala hay
Mubarak Anmbia ka aaj afsar aanay wala hay
Marhaba ya Mustafa, Marhaba ya Mustafa, Marhaba ya Mustafa, Marhaba ya Mustafa,
AndhairoN maiN bhataktay phirnay waloN ko Mubarak ho
tumhaiN haq say milanay aaj yawar aanay wala hay
Marhaba ya Mustafa, Marhaba ya Mustafa, Marhaba ya Mustafa, Marhaba ya Mustafa,
Mubarak bad naseeboN ko Mubarak ho ghareeboN ko
JahaN maiN bay bassooN ka saaya gustar aanay wala hay
Marhaba ya Mustafa, Marhaba ya Mustafa, Marhaba ya Mustafa, Marhaba ya Mustafa,
Karoo ghar ghar charaghaN sabz parcham aaj lehrawo
Machawo marhaba ki dhoom dilbar aanay wala hay
Marhaba ya Mustafa, Marhaba ya Mustafa, Marhaba ya Mustafa, Marhaba ya Mustafa,
Tarawat kiuN hoo hasil mairay qalab-o-jigar ko
JahaN maiN behar-e-rehmat ka shanawar aanay wala hay
Marhaba ya Mustafa, Marhaba ya Mustafa, Marhaba ya Mustafa, Marhaba ya Mustafa,
Mubarak ho Haleema Sadia tujh ko Mubarak ho
Tairi goodi maiN kul aalam ka Sarwar aanay wala hay
Marhaba ya Mustafa, Marhaba ya Mustafa, Marhaba ya Mustafa, Marhaba ya Mustafa,
Uthawo sab parcham aour chalo sab Amina kay ghar
Lutanay rehmataieN Haq ka payghambar aanay wala hay
Marhaba ya Mustafa, Marhaba ya Mustafa, Marhaba ya Mustafa, Marhaba ya Mustafa,
Agar naaN aaj jhoomo gey to kab jhoomoN gey deewano
Machal jawo tumhara aaj Yawar aanay wala hay
Marhaba ya Mustafa, Marhaba ya Mustafa, Marhaba ya Mustafa, Marhaba ya Mustafa,
JahaN maiN zulmatoN ka chaak hoo ga aaj say seena
Khuda kay fazal say mah-e-munawar aanay wala hay
Marhaba ya Mustafa, Marhaba ya Mustafa, Marhaba ya Mustafa, Marhaba ya Mustafa,
Sarkar ki aamad marhaba
Sardar ki aamad marhaba
Dildar ki aamad marhaba
ManThar ki aamad marhaba
Rahbar ki aamad marhaba
Tasali to rakho sairab bhi ho jawo gey attar
Chalakta jam lay kar Shah-e-Kothar aanay wala hay
Marhaba ya Mustafa, Marhaba ya Mustafa, Marhaba ya Mustafa, Marhaba ya Mustafa,
Sarkar ki aamad marhaba
Sardar ki aamad marhaba
Dildar ki aamad marhaba
ManThar ki aamad marhaba
Rahbar ki aamad marhaba

Marhaba ya Mustafa, Marhaba ya Mustafa, Marhaba ya Mustafa, Marhaba ya Mustafa,




Copyright © 2007 - 2012 - All Rights Reserved