|
Basti mairay weeran muqadar ki [HD]
Basti meray weeran muqadar ki basa di
MaaN Ji ki duawoN neiN mairi baat bana di
Aasooda mairi maaN ko Khuda rakhay keh jis neiN
Azmat dar e Zahra ki mairay dil meiN basa di
Tiaar hamaisha isay khidmat ko hay paya
Jab bhe sar e shab uth kay meiN neiN sada di
Mosam ki tamazat nein kia jab bhe parayshaaN
Shafqat kay dopatay say mujhay thandi hawa di
Dopeher kay aazar ko khud sabar say jhaila
Rahat bhari har shaam mairay naam laga di
KhushioN ki phowaroN say mujhay kar kay sharaboor
Har Gham ki mairi rah say deewar gira di
Hay maan ki ita’at ka sila gulshan e jannat
Aflaak say hoti hay shab o rooz munadi
Rehmat neiN waheen lay lia aaghosh meiN baRh kar
Farooqi mairi maaN neiN mujhay jab bhe dua di
|