|
Milad-e-Nabi ko Aam karoo [HD]
Milad e Nabi ko aam karo
Milad e Nabi ko aam karo
Ik azm karo ik kam karo
Milad e Nabi ko aam karo
YouN subha karo youN sham karo
Milad e Nabi ko aam karo
Naah koi basti reh jaye
Naah koi nagri reh jaye
Ilan yahi har gam karo
Milad e Nabi ko aam karo
Tehwar hamara aaya hay
KiuN laR kay yeh din zaia kariaN
Har sazish ko nakam karo
Milad e Nabi ko aam karo
Jo paida howa woh Rab kaisay
Yeh din to shirk shikan thehra
Yeh ehd e wafa ka moqa hay
Kia sochtay ho ab kar guzro
Apna sab kuch unn kay naam karo
Milad e Nabi ko aam karo
Mushkil say kia ghabrana hay
Ab aagay baRhtay jana hay
Dushman ka traffic jam karo
Milad e Nabi ko aam karo
Nafrat ki aag bujha deiN gey
Hum aman kay daee heiN logoo
Pegham e Muhammad taam karo
Milad e Nabi ko aam karo
Har dil mein basi unn ki lagan
Har sham Ujagar unn kay naam
Aaghaz younhi anjam karoo
Milad e Nabi ko aam karo
|