|
Ya Nabi sab karam hay tumhara [HD]
Ya Nabi sab karam hay tumhara
Yeh jo waray niayaray howay heiN
Ab kami ka tasawur bhe kaisa
Jab say mangtay tumharay howay heiN
Koi munh naaN lagata tha ham ko
Pas tak naN bithata tha ham ko
Jab say thama hay daman tumhara
Dunia walay hamaray howay heiN
Un kay darbar say jab bhe
Panjtan kay waseelay say manga
Mujh ko khairat foran mili hay
Khoob mairay guzaray howay heiN
Door honay ko ab hay yeh dori
Unn ki chokhat peh ho gi hazoori
Khuab meiN mujh ko Aaqa kay dar say
Hazri kay isharay howay heiN
Hashar kay rooz jab mairay Aaqa
Ummati ki shifa’at karain gey
Rab kahay ga inhaiN meiN nein bakhsha
Jo deewanay tumharay howay heiN
Chahtay ho agar naik naami
Aal e Zahra ki kar lo ghulami
Unn kay sadqay say Zahid Niazi
Pur sakooN gham kay maray howay heiN
|