|
Bay khud keyaye daitay heiN
Baykhud kiay daitay heiN andaz-e-hijabana
Aa dil meiN tujhay rakh loon aye jalwa-e-jananaN
Bus itna karam karna aye chashm-e-kareemana
Jab jaan labooN par ho tum samnay aa jana
Ji chahta hay tuhfay meiN bhaijoN meiN unhaiN aankhaiN
Darshan ka to darshan ho nazranay ka nazrana
Peenay ko to pe looN ga perr arz zara si hay
Ajmair ka saqi ho Baghdad ka maikhana
Peetay heiN tairay dar ka khatay heiN tairay dar ka
Pani hay tera pani dana hay tera dana
KiuN aankh milaye thee kiuN aag lagaye thee
Abb rukh ko chupa baithay kar kay mujhay deewana
Baydam meri qismat meiN sajday heiN isi dark ay
Chootaa hay naaN chootay ga sang-e-dar-e-jananaN
|