|
Mehfil-e-Milad Karnay ki Lagan Zinda Rahay
Mehfil e Milad karnay ki lagan zinda rahay
Aashiqan-e-Mustafa ka yeh chalan zinda rahay
Har taraf naray hee naray aamad-e-Sarkar kay
SunieoN ka lehlahata yeh chaman zinda rahay
Char su khushiaN hee khushiaN aap kay aanay ki heiN
Ya Nabi jashn-e-wiladat ki lagan zinda rahay
Hum manatay hee rahaiN gey unn kay aanay ki khushi
Dushman-e-Jashn-e-wiladat ki jalan zinda rahay
Naat kay ashaar sunn kar yeh kaha Sarkar neiN
Ta umer jari tumhara yeh lehn zinda rahay
Zindagi bay kar hay jo ho naN ishq-e-Mustafa
Ya Khuda ishq-e-Muhammad (S.A.W.) ki agan zinda rahay
Yeh shaheedoN ky lahu ki dosto awaz hay
Mar gaye jo aap par unn kay badan zinda rahay
Hum heiN namoos-e-Nabi kay pasbaN heiN pasbaN
Un pey jaN qurban karnay ka wachan zinda rahay
Mujh ko dey taseer Mola aur qalam meiN roshni
Aye Ujagar shairi ka maira funn zinda rahay
|