|
Tairay hotay janam lia hota
Tairay hotay janam lia hota
Phir kabhi tou tujhay mila hota
Kash meiN sang-e-dar tira hota
Tairay qadmoN ko choomta hota
Tu chala karta mairi palkoN par
Kash meiN taira rasta hota
Zarah hota jo tairi rahooN ka
Tairay talwooN kw chu lia hoota
LaRta phirta meiN tairay aaeda sey
Tairi khatir meiN mar gia hota
Tairay maskan kay gird sham o sahar
Ban kay mangta meiN phir raha hota
Tu kabhi tou mujhay bhi tak laita
Tairay taknay pay bik gia hota
Tu kabhi to miri khabar laita
Tairay kochay meiN ghar kia hota
Tu jo aata miray janazay par
Tairay hotay miN mar gia hota
ChooR kar janataiN palat aata
Tu miri qabar par khaRa hota
Hoota Roohi tiray faqeeroN meiN
Tairi dehleez par paRa hota
Poetry – Shaykh ul Islam Dr. Muhammad Tahir ul Qadri
|