farhan ali qadri
Home | Video | Audio | Albums | Latest Album | Gallery | Forum | Guest Book | Search | Tell A Friend | Contact
Title Bookmark and Share farhan ali qadri
Last 10 Topics:  #1 congratulations to MARIUM sister for completing 1000 Posts(Umer)    #2 Why heart beat says love to farhan love to farhan!(Faheem ahmed aatar)    #3 Yad e madina: faheem ahmed aatar.(Faheem ahmed aatar)    #4 who wass the best naat khawan of the world your ans. fari by(syed umair gillani)    #5 My poetry:farhan ali qadri.(Faheem ahmed aatar)    #6 only for you(MARIAM ZAFAR)    #7 Aap k liay farhan ali qadri kis ka naam hy?(Umer)    #8 vote farhan ali qadri, best naat khawan of the world(syed umair gillani)    #9 My poetry only for farhan ali qadri:farhan main tujh bin uda(Faheem ahmed aatar)    #10 Happy heart only reason farhan ali qadri.(Faheem ahmed aatar)  


Hits: 4,055,861
Farhan Ali Qadri - Allah Nabi kay piaro utho aye rozay daro
        Roman Lyric
 Audio   Roman   English   Hindi   Urdu

Allah Nabi kay piaro utho aye rozay daro

Allah Nabi kay piaro utho aye rozay daro
Moqa yeh phir mila hay tum aaqibat sanwaro
Utho kay barkatoN ka phir aa gia maheena
Nazil howa hay iss meiN Quran ka khazeena
Aawo namaz paRh kr Quran tum utha lo
Allah Nabi kay piaro utho aye rozay daro
Moqa yeh phir mila hay tum aaqibat sanwaro
Utho aye momino tum yeh naik kam kar lo
Waqt-e-sehar hay aaia kuch ihtamam kar lo
Ramadan ka maheena younhi naa tum guzaro
Allah Nabi kay piaro utho aye rozay daro
Moqa yeh phir mila hay tum aaqibat sanwaro
Tasbeeh tum Khuda ki kartay raho hamaisha
Hay badshah usi sey dartay raho hamaisha
BatlaieN jo Nabi neiN woh sari bataiN mano
Allah Nabi kay piaro utho aye rozay daro
Moqa yeh phir mila hay tum aaqibat sanwaro
Bass yeh naheeN hay kafi tum bhookay piasay rehna
Kar-e-haram sey bhi parhaiz kartay rehna
Khushnodi-e-Khuda meiN Rozay ka haq ada ho
Allah Nabi kay piaro utho aye rozay daro
Moqa yeh phir mila hay tum aaqibat sanwaro
Aye momino hasad say gheebat say bachtay rehna
Bay ja kisi peh har giz zulm o sitam no dhana
Taleem-e-Haq yahi hay haq na kisi ka maro
Allah Nabi kay piaro utho aye rozay daro
Moqa yeh phir mila hay tum aaqibat sanwaro
Jhoot aur badgumani say ijtanab karna
Gar kar sako to apna khud ihtasab karna
Jo kuch ghalat kia uss ki muafi mangoo
Allah Nabi kay piaro utho aye rozay daro
Moqa yeh phir mila hay tum aaqibat sanwaro
ChoRo laRaie jhagRay gali galooch ganay
Momin wohi hay sacha haq baat ko jo manay
Apnay gunahoN par tum tobah kay parday dalo
Allah Nabi kay piaro utho aye rozay daro
Moqa yeh phir mila hay tum aaqibat sanwaro
Aye Sarfaraz yeh likho kam tolna naheen tum
Rizq-e-Halal khawo Iman ko bacha lo

Poetry – Sarfaraz


Copyright © 2007 - 2012 - All Rights Reserved