|
Barhween Tareekh MaiN Haq Ka Jamal
BarhaweeN tareekh meiN Haq ka jamal aaia nazar
Amina ki goud meiN ik bay missal aaia nazar
Muskaraie heiN baharaiN inbisat o kaif ki
Jab Banu Hasham meiN Abdullah ka lal aaia nazar
Rehmatal lil alameen ki amad amad par nisar
Dard o dukh meiN har jagha rehmat fazaal aaia nazar
Chand uss kay ik isharay par khilona ban gia
Mahad meiN jab Amina bibi ka lal aaia nazar
Aap kay naqsh-e-qadam meiN saray fitnouN say nijat
Aap hee kay rasty meiN ait’daal aaia nazar
Kehtay thay Hazrat Umer sardar uss ko shouq say
Jab kabhi Tayyaba ki galiouN meiN Bilal aaia nazar
Murda qoumouN meiN Ujagar zindagi ki lehar di
Aap ki batoun meiN wooh ouj-e-kamal aaia nazar
|