|
Mairi baat ban gayee hay
Mairi baat ban gaye hay tairi baat kartay kartay
Tairay shehar mein maiN aawoN tairi naat paRhtay paRhtay
Tairay ishq ki badoulat mujhay zindagi mili hay
Mujhay mout aaqa aaye taira zikr karty karty
Kisi cheez ki talab hay naaN hay aarzo bhi koi
To neiN itna bhar dia hay kashkol bharty bhartay
Mairay soonay soonay ghar meiN kabhi ronaqaiN ata houN
MeiN deewana ho gia houN tairi rah taktay taktay
Hay jo zindgani baqi yeh irada kar lia hay
Tairay munkaroN say aaqa meiN marooN ga laRtay laRtay
Nasir ki hazri ho kabhi aastaN pay tairay
Keh zamana ho gia hay mujhay aahaiN bhartay bhartay
|