|
Poochtay kia ho Madinay sey maiN kia laiaa hooN
Pochtay kia ho Madinay sey meiN kia laia houN
Apni ankhoN meiN Madinay ko basa laia houN
Dil bhi maira hay waheeN jaan bhi mairi hay waheeN
Laash ko apni meiN kandhouN pay utha laia houN
Saya-e-Gunbad-e-Khazra meiN ada kar kay namaz
Sar ko meiN Arsh ka hamsaia bana laia houN
Jiss neiN chomay heiN qadam sarwar-e-alam kay
Khak-e-Tayyaba ko meiN palkoN meiN saja laia houN
Jaan o dil wahaN rakh kar amanat ki tarah
Phir janay kay asbab bana laia houN
Pochtay kia ho Madinay sey meiN kia laia houN
Apni ankhoN meiN Madinay ko basa laia houN
|