|
Mairay aaqa meiN hooN qurbaN aap par
Mairay aaqa meiN hooN qurbaN aap par
Jind jaaN warooN aaqa tairi shan par
Hay bigRi banaiey aaqa neiN
Qismat hay jagaye aaqa neiN
Achi baat sikhayee aaqa neiN
Islam sikhayaa aaqa neiN
Allah say milayaa aaqa neiN
Mairay aaqa meiN hooN qurbaN aap par
Jind jaaN warooN aaqa tairi shan par
Buraiee say bachayaa aaqa neiN
Ghaflat say bachayaa aaqa neiN
ZulmoN say bachayaa aaqa neiN
Hay deen sikhayaa aaqa neiN
Allah say milayaa aaqa neiN
Mairay aaqa meiN hooN qurbaN aap par
Jind jaaN warooN aaqa tairi shan par
Quran sunayaa aaqa neiN
Quran sikhayaa aaqa neiN
Aalam ko sajayaa aaqa neiN
Iman sikhayaa aaqa neiN
Allah say milayaa aaqa neiN
Mairay aaqa meiN hooN qurbaN aap par
Jind jaaN warooN aaqa tairi shan par
Jahalat ko mitayaa aaqa neiN
QurbaniaN di heiN aaqa neiN
kalama hay paRhayaa aaqa neiN
Muslim hay banaya aaqa neiN
Allah say milayaa aaqa neiN
Mairay aaqa meiN hooN qurbaN aap par
Jind jaaN warooN aaqa tairi shan par
Paar ham ko lagayaa aaqa neiN
Rang apna chaRhayaa aaqa neiN
Batil ko mitayaa aaqa neiN
YouN bakht jagayaa aaqa neiN
Allah say milayaa aaqa neiN
Mairay aaqa meiN hooN qurbaN aap par
Jind jaaN warooN aaqa tairi shan par
Tayyaba meiN bulayaa aaqa neiN
Roza hay dikhayaa aaqa neiN
Deedar karayaa aaqa neiN
Farhad ko bulaya aaqa neiN
Naat likhna sikhayaa aaqa neiN
Mairay aaqa meiN hooN qurbaN aap par
Jind jaaN warooN aaqa tairi shan par
|