|
Kehti hay yeh phooloN ki Rida
Kehti hay yeh pholoN ki rida
Kehti hay yeh phooloN ki rida Allah ho Allah
Ashjaar kay patoN naiN kaha Allah ho Allah
Allah Ho Allah
Badal naiN aasmaN pay likha Allah ho Allah
Parbat ki qitarooN ki nida Allah ho Allah
Ho surah Yasin keh ho sorah Rehman
Quran kay lafzooN ki sada Allah ho Allah
Kehti hay yeh phooloN ki rida Allah ho Allah
Ashjaar kay patoN naiN kaha Allah ho Allah
Allah Ho Allah
Karta hay sana tairi barasta howa pani
Daria bhi hay masroof-e-sana Allah ho Allah
khushbo kiran ujaaley dhanak or kehkashaaN
zakir haiN tairay arz-o-sama Allah ho Allah
Kehti hay yeh phooloN ki rida Allah ho Allah
Ashjaar kay patoN naiN kaha Allah ho Allah
Allah Ho Allah
Shabnum giri jo phooloN pay paRhati hoi sana
Bulbul nain daikh kar yeh kaha Allah ho Allah
Jab nazaa kay aalam maiN ho mola yeh Ujagar
Wird-e-ZabaN ho zikr taira Allah ho Allah
virde zaban ho zikr tera allah ho allah
Allah Ho Allah Allah Ho Allah
Kehti hay yeh phooloN ki rida Allah ho Allah
Ashjaar kay patoN naiN kaha Allah ho Allah
Allah Ho Allah
|