farhan ali qadri
Home | Video | Audio | Albums | Latest Album | Gallery | Forum | Guest Book | Search | Tell A Friend | Contact
Title Bookmark and Share farhan ali qadri
Last 10 Topics:  #1 congratulations to MARIUM sister for completing 1000 Posts(Umer)    #2 Why heart beat says love to farhan love to farhan!(Faheem ahmed aatar)    #3 Yad e madina: faheem ahmed aatar.(Faheem ahmed aatar)    #4 who wass the best naat khawan of the world your ans. fari by(syed umair gillani)    #5 My poetry:farhan ali qadri.(Faheem ahmed aatar)    #6 only for you(MARIAM ZAFAR)    #7 Aap k liay farhan ali qadri kis ka naam hy?(Umer)    #8 vote farhan ali qadri, best naat khawan of the world(syed umair gillani)    #9 My poetry only for farhan ali qadri:farhan main tujh bin uda(Faheem ahmed aatar)    #10 Happy heart only reason farhan ali qadri.(Faheem ahmed aatar)  


Hits: 4,055,798
Farhan Ali Qadri - Kabay ki ronaq kabay ka manzar
        Roman Lyric
 Audio   Roman   Hindi   Urdu

Kabay ki ronaq kabay ka manzar

Kabay Ki Roonaq Kabay Ka Manzar
Kabay ki ronaq kabay ka manzar Allaho Akbar Allaho Akbar
daikhoN to daikhay jawoN barabar Allaho Akbar Allaho Akbar
Hmd-e-Khuda say tar haiN zubanaiN kanoN maiN ras ghoolti haiN azanaiN
Bass ik sada aa rahi hay barabar Allaho Akbar Allaho Akbar
Tairay haram ki kia baat Mola tairay karam ki kia baat Mola
Taa umer kar day aana muqadar Allaho Akbar Allaho Akbar
MangeeN haiN maiN naiN jitni duaaieN manzoor hooN gi maqbool hooN gi
Meezab-e-Rehmat hay mairay sar par Allaho Akbar Allaho Akbar
Kabay ki ronaq kabay ka manzar Allaho Akbar Allaho Akbar
Yaad aa gaieN jab apni khataieN askhoN main dhalnay lagieN iltijaieN
Roia ghilaf-e-Kaba pakaR kar Allaho Akbar Allaho Akbar
Kabay ki ronaq kabay ka manzar Allaho Akbar Allaho Akbar
Bhaija hay janat say tujh ko Khuda naiN choma hay tujh ko mairay Mustafa naiN
Aye Hajar-e-Aswad taira muqadar Allaho Akbar Allaho Akbar
Kabay ki ronaq kabay ka manzar Allaho Akbar Allaho Akbar
Mola Sabheeh aour kia chahta hay bass maghfirat ki ata chahta
Bkhshish kay talib pay apna karam kar Allaho Akbar Allaho Akbar
Kabay ki ronaq kabay ka manzar Allaho Akbar Allaho Akbar


Copyright © 2007 - 2012 - All Rights Reserved