farhan ali qadri
Home | Video | Audio | Albums | Latest Album | Gallery | Forum | Guest Book | Search | Tell A Friend | Contact
Title Bookmark and Share farhan ali qadri
Last 10 Topics:  #1 congratulations to MARIUM sister for completing 1000 Posts(Umer)    #2 Why heart beat says love to farhan love to farhan!(Faheem ahmed aatar)    #3 Yad e madina: faheem ahmed aatar.(Faheem ahmed aatar)    #4 who wass the best naat khawan of the world your ans. fari by(syed umair gillani)    #5 My poetry:farhan ali qadri.(Faheem ahmed aatar)    #6 only for you(MARIAM ZAFAR)    #7 Aap k liay farhan ali qadri kis ka naam hy?(Umer)    #8 vote farhan ali qadri, best naat khawan of the world(syed umair gillani)    #9 My poetry only for farhan ali qadri:farhan main tujh bin uda(Faheem ahmed aatar)    #10 Happy heart only reason farhan ali qadri.(Faheem ahmed aatar)  


Hits: 4,055,793
Farhan Ali Qadri - Dar paish ho jo Taibba ka safar kaisa lagay ga
        Roman Lyric
 Audio   Roman   Hindi   Urdu

Dar paish ho jo Taibba ka safar kaisa lagay ga

Dar paish ho Taibba ka safar kaisa lagay ga

Darpaish ho Taibba ka safar kaisa lagay ga
guzraiN jo wahaN sham o sehr kaisa lagay ga
BaRRa acha lagay ga baRa piara lagay ga baRa meetha lagay ga (chorus)
Aye kash Madinay maiN mujhay mout youN aaye
QadmooN maiN ho sarkar kay sar kaisa lagay ga
BaRRa acha lagay ga baRa piara lagay ga baRa meetha lagay ga (chorus)
Aye piaray Khuda daikhoN maiN sarkar ka jalwa
Mil jaieN dua to jo asar kaisa lagay ga
BaRRa acha lagay ga baRa piara lagay ga baRa meetha lagay ga (chorus)
Aaqa ka gada hooN aye jahanum bhi to suun lay
Wooh kaisay jalaiN jo keh ghulam-e-Madni ho
Aye kaash maiN ban jawoN Madinay ka musafir
Phir rooti hoi Taibba ko baraat chali ho
Jab door say hay itna haseeN Gunbad-e-Khazra
Iss paar yeh aalam hay udher kaisa lagay ga
BaRRa acha lagay ga baRa piara lagay ga baRa meetha lagay ga (chorus)
Taibba ki seaadat to youN paatay haiN hazaroN
Murshid ka sath ho jo safar kaisa lagay ga
Aa jaieN mairay ghar maiN agar Rehmat-e-Alam
maiN kaisa lagooN ga maira ghar kaisa lagay ga
BaRRa acha lagay ga baRa piara lagay ga baRa meetha lagay ga (chorus)
Dar paish ho jo Taibba ka safar kaisa lagay ga
guzraieN jo wahaN shaam o sehar kaisa lagay ga
BaRRa acha lagay ga baRa piara lagay ga baRa meetha lagay ga (chorus)


Copyright © 2007 - 2012 - All Rights Reserved