farhan ali qadri
Home | Video | Audio | Albums | Latest Album | Gallery | Forum | Guest Book | Search | Tell A Friend | Contact
Title Bookmark and Share farhan ali qadri
Last 10 Topics:  #1 congratulations to MARIUM sister for completing 1000 Posts(Umer)    #2 Why heart beat says love to farhan love to farhan!(Faheem ahmed aatar)    #3 Yad e madina: faheem ahmed aatar.(Faheem ahmed aatar)    #4 who wass the best naat khawan of the world your ans. fari by(syed umair gillani)    #5 My poetry:farhan ali qadri.(Faheem ahmed aatar)    #6 only for you(MARIAM ZAFAR)    #7 Aap k liay farhan ali qadri kis ka naam hy?(Umer)    #8 vote farhan ali qadri, best naat khawan of the world(syed umair gillani)    #9 My poetry only for farhan ali qadri:farhan main tujh bin uda(Faheem ahmed aatar)    #10 Happy heart only reason farhan ali qadri.(Faheem ahmed aatar)  


Hits: 4,055,788
Farhan Ali Qadri - Jashn-e-Amad-e-Rasool Allah hee Allah
        Roman Lyric
 Audio   Roman   Hindi   Urdu

Jashn-e-Amad-e-Rasool Allah hee Allah

Jashn-e-Amad-e-Rasool Allah hee Allah
Bibi Amina kay phool Allah hee Allah
Jab kay Sarkar tashreef laanay lagay
Hoor-o-ghilmaN bhi khushiaN mananay lagay
Har taraf ki roshni chaa gaye
Mustafa kia milay zindagi mil gaye
Aye Haleema Tairi good maiN aa gaye
donoN aalam kay Rasool Allah hee Allah
Jashn-e-Amad-e-Rasool Allah hee Allah
Bibi Amina kay phool Allah hee Allah
Chehra-e-Mustafa jab dikhaia gia
Chhup gaye taray aour chand sharma gia
Amina daikh kay muskarany lageeN
Hawa, Mariam bhi KhushiaN mananay lageeN
Amina Bibi sab say yeh kehnay lageeN
Dua ho gaye qabool Allah hee Allah
Jashn-e-Amad-e-Rasool Allah hee Allah
Bibi Amina kay phool Allah hee Allah
Shadianay khushi kay bajaye gaye
Shadi kay naghmay sab ko sunaye gaye
Har taraf shoor Sal-e-Ala ho gia
Aaj paida Habib-e-Khuda ho gia
Phir to Gibrael naiN bhai yeh ailaN kia
Yeh Khuda kay haiN Rasool Allah hee Allah
Jashn-e-Amad-e-Rasool Allah hee Allah
Bibi Amina kay phool Allah hee Allah
Unn ka saia zameeN par naaN paia gia
Noor say Noor daikho juda naaN huwa
Hum ko Abid Nabi par baRa naaz hay
Kia bhala mairay Aaqa ka andaz hay
Jiss naiN rukh par malee woh shifa pa gia
Khak-e-Taibba tairi dhool Allah hee Allah

Jashn-e-Amad-e-Rasool Allah hee Allah
Bibi Amina kay phool Allah hee Allah


Copyright © 2007 - 2012 - All Rights Reserved