farhan ali qadri
Home | Video | Audio | Albums | Latest Album | Gallery | Forum | Guest Book | Search | Tell A Friend | Contact
Title Bookmark and Share farhan ali qadri
Last 10 Topics:  #1 congratulations to MARIUM sister for completing 1000 Posts(Umer)    #2 Why heart beat says love to farhan love to farhan!(Faheem ahmed aatar)    #3 Yad e madina: faheem ahmed aatar.(Faheem ahmed aatar)    #4 who wass the best naat khawan of the world your ans. fari by(syed umair gillani)    #5 My poetry:farhan ali qadri.(Faheem ahmed aatar)    #6 only for you(MARIAM ZAFAR)    #7 Aap k liay farhan ali qadri kis ka naam hy?(Umer)    #8 vote farhan ali qadri, best naat khawan of the world(syed umair gillani)    #9 My poetry only for farhan ali qadri:farhan main tujh bin uda(Faheem ahmed aatar)    #10 Happy heart only reason farhan ali qadri.(Faheem ahmed aatar)  


Hits: 4,055,780
Farhan Ali Qadri - Ya Rab naseeb ho dar-e-Mahboob par qiyaam
        Roman Lyric
 Audio   Roman   Hindi   Urdu

Ya Rab naseeb ho dar-e-Mahboob par qiyaam

Salay Ala Nabiyena Salay Ala Muhammadin
Ya Rab naseeb ho dar-e-Mahboob par qiyaam
Tayba kay rat din hooN Madinay kay subh sham
Guzray haiyat koaye Rasool-e-Karim meiN
Chomay nigah baam-o-dar Sayad-ul-anam
Salay Ala Nabiyena Salay Ala Muhammadin
Allah say theeN Toor pay bataieN Kaleem ki
Sarkar lamakaN meiN hoaye Haq say hamkalam
Salay Ala Nabiyena Salay Ala Muhammadin
Iss bargah-e-Pak ki Allah ray azmataiN
Jiss bargah-e-Pak ka Jibraiel hay ghulam
Salay Ala Nabiyena Salay Ala Muhammadin
Behtar hay sari subhooN say Tayaba ki ik subh
Afzal hay sari shamoN say Tayaba ki ik sham
Salay Ala Nabiyena Salay Ala Muhammadin
Milti rahay faqeer ko tairay karam ki bheek
Hasil rahay ghareeb ko kafiat madam
DonoN jahaN meiN tairay siwa aour kon hay
Mola-e-kull Shafi-e-ummam Rehmatish tumam
Salay Ala Nabiyena Salay Ala Muhammadin
Hal ho gaye hay mushkil mujh khasta hall ki
Jab bhi zabaN pay aaia hay mushkil kusha ka naam
Salay Ala Nabiyena Salay Ala Muhammadin
Inn par darood jin say hay kaba ki abro
Inn par sallam jin say Madina Naik naam
Salay Ala Nabiyena Salay Ala Muhammadin
Ya Rab naseeb ho dar-e-Mahboob par qiyaam
Tayba kay rat din hooN Madinay kay subh sham



Copyright © 2007 - 2012 - All Rights Reserved