|
Kia khabar kia saza mujh ko milti
Kia khabar kia saza mujh ko milti
Mairay Aaqa naiN izat bacha li
Fard-e-isiaaN mari mujh say lay kar
Kali kamli maiN apni chupa lee
Woh ata par ata karnay walay
Aour ham bhi naheeN Talney walay
Jaisi DuRhi hay waisa bhikari
Jaisa data hay waisay sawali
Kia khabar kia saza mujh ko milti
Mairay Aaqa naiN izat bacha li
MeiN gada hooN magar unn kay dar ka
Woh jo Sultan-e-kon-o-makaN haiN
Yeh ghulami baRi mustanad hay
Mairay sar pay hay taj-e-Bilali
Kia khabar kia saza mujh ko milti
Mairay Aaqa naiN izat bacha li
Meri umer-e-rawaN bass thehar ja
Ab safar ki zarorat naheeN hay
Unn kay qadmoN meiN meri jabeeN hay
Aour hathooN meiN Rozay ki jali
Kia khabar kia saza mujh ko milti
Mairay Aaqa naiN izat bacha li
MeiN Madinay say kia gia hooN
Zindagi jaisay bujh si gaye hay
Ghar kay andar fiza sooni sooni
Ghar kay bahir smaN khali khali
Kia khabar kia saza mujh ko milti
Mairay Aaqa naiN izat bacha li
MeiN gadagar hooN magar un kay dar ka
Woh jo Sultan-e-kon-o-makaN haiN
Yeh ghulami baRi mustanad hay
Meiri sar pay hay taj-e-Bilali
Mein faqat naam laiwa hooN un ka
Unn ki toseef meiN kia karooN ga
MeiN naaN Iqbal, Khusroo naaN Sadi
MeiN naaN Qudsi, naaN Jami naaN Hali
Kia khabar kia saza mujh ko milti
Mairay Aaqa naiN izat bacha li
Fard-e-isiaaN mari mujh say lay kar
Kali kamli maiN apni chupa lee
|