|
Sarkar-e-doalam kay daikho
Sarkar-e-doalam kay daikho har simt nazaray hotay haiN
Konain udher ho jati hay jiss waqt isharay hotay haiN
Mahtab kay TukRay hotay haiN soraj bhi ulta phirta hay
Jiss waqt Madinay walay ki ungli kay isharay hotay haiN
loTa naaN koi dar say khali manga jo kissi naiN mil hi gia
Woh dar hay Nabi ka jiss dar par mangtoN kay guzaray hotay haiN
Yeh kaba naheeN yeh toor naheeN yeh dar hay Rasool-e-Akram ka
Iss khak kay zarooN par sadqay mahtab sitaray hotay haiN
Darbar-e-Nabi maiN aye muslim ham ko bhi khuda pohancha deyway
Suntay haiN wahaN par bandoN ko mola kay nazaray hotay haiN
|