farhan ali qadri
Home | Video | Audio | Albums | Latest Album | Gallery | Forum | Guest Book | Search | Tell A Friend | Contact
Title Bookmark and Share farhan ali qadri
Last 10 Topics:  #1 Why heart beat says love to farhan love to farhan!(Faheem ahmed aatar)    #2 Yad e madina: faheem ahmed aatar.(Faheem ahmed aatar)    #3 who wass the best naat khawan of the world your ans. fari by(syed umair gillani)    #4 My poetry:farhan ali qadri.(Faheem ahmed aatar)    #5 only for you(MARIAM ZAFAR)    #6 Aap k liay farhan ali qadri kis ka naam hy?(Umer)    #7 vote farhan ali qadri, best naat khawan of the world(syed umair gillani)    #8 congratulations to MARIUM sister for completing 1000 Posts(Amna)    #9 My poetry only for farhan ali qadri:farhan main tujh bin uda(Faheem ahmed aatar)    #10 Happy heart only reason farhan ali qadri.(Faheem ahmed aatar)  


Hits: 4,055,718
Farhan Ali Qadri - Poocha hawa say meiN naiN
        Roman Lyric
 Audio   Roman   Hindi   Urdu

Poocha hawa say meiN naiN

Allah hoo Allah hoo Allah hoo Allah hoo Allah hoo Allah hoo
Poocha hawa say meiN naiN bhala jhoomti hay kiuN
Ambar ko uRtay uRtay bhala choomti hay kiuN
Kehnay lagi keh hamd-e-Khuda paRh rahi hooN maiN
Daman ko rehmatoN say abhi bhar rahi hooN maiN
Allah hoo Allah hoo Allah hoo Allah hoo Allah hoo Allah hoo
Ambar say jab kaha bohat oonchi hay tairi shan
Bola khuday-e-pak ka har hukam tu bhi maan
MeiN naiN kaha keh Rab ki karo Hamd kuch biaan
Bola Khuda ki zaat kahaN meiN bhala kahaN
Allah hoo Allah hoo Allah hoo Allah hoo Allah hoo Allah hoo
Poocha Qamar say kia taira hall-o-qall hay
Aawaz aaee mujh meiN to Rab ka jamal hay
MeiN naiN kaha Qamar say keh aa tujh ko choom looN
Bola keh hamd paRh kay zara meiN bhi jhoom loon
Allah hoo Allah hoo Allah hoo Allah hoo Allah hoo Allah hoo
MeiN naiN kaha yeh qamri o bulbul say khush nawa
PaRhati ho kia seher ko mujhay bhi to do suna
Boli kay subha karty hain Hamad-e-Khuda say hum
Aaty naheen haiN rah maiN dunia kay ranj-o-gham
Allah hoo Allah hoo Allah hoo Allah hoo Allah hoo Allah hoo
BandoN say piar maaN say bhi baRh kar Khuda ka hay
Malik woh rooz-e-hashr saza-o-jaza ka hay
Tahir ka aasra mairay mola taira karam
Mehshar maiN aasioN kaa tu rakh leejeeo bharam
Allah hoo Allah hoo Allah hoo Allah hoo Allah hoo Allah hoo
Allah hoo Allah hoo Allah hoo Allah hoo Allah hoo Allah hoo


Copyright © 2007 - 2012 - All Rights Reserved