|
Poocha hawa say meiN naiN
Allah hoo Allah hoo Allah hoo Allah hoo Allah hoo Allah hoo
Poocha hawa say meiN naiN bhala jhoomti hay kiuN
Ambar ko uRtay uRtay bhala choomti hay kiuN
Kehnay lagi keh hamd-e-Khuda paRh rahi hooN maiN
Daman ko rehmatoN say abhi bhar rahi hooN maiN
Allah hoo Allah hoo Allah hoo Allah hoo Allah hoo Allah hoo
Ambar say jab kaha bohat oonchi hay tairi shan
Bola khuday-e-pak ka har hukam tu bhi maan
MeiN naiN kaha keh Rab ki karo Hamd kuch biaan
Bola Khuda ki zaat kahaN meiN bhala kahaN
Allah hoo Allah hoo Allah hoo Allah hoo Allah hoo Allah hoo
Poocha Qamar say kia taira hall-o-qall hay
Aawaz aaee mujh meiN to Rab ka jamal hay
MeiN naiN kaha Qamar say keh aa tujh ko choom looN
Bola keh hamd paRh kay zara meiN bhi jhoom loon
Allah hoo Allah hoo Allah hoo Allah hoo Allah hoo Allah hoo
MeiN naiN kaha yeh qamri o bulbul say khush nawa
PaRhati ho kia seher ko mujhay bhi to do suna
Boli kay subha karty hain Hamad-e-Khuda say hum
Aaty naheen haiN rah maiN dunia kay ranj-o-gham
Allah hoo Allah hoo Allah hoo Allah hoo Allah hoo Allah hoo
BandoN say piar maaN say bhi baRh kar Khuda ka hay
Malik woh rooz-e-hashr saza-o-jaza ka hay
Tahir ka aasra mairay mola taira karam
Mehshar maiN aasioN kaa tu rakh leejeeo bharam
Allah hoo Allah hoo Allah hoo Allah hoo Allah hoo Allah hoo
Allah hoo Allah hoo Allah hoo Allah hoo Allah hoo Allah hoo
|